Siya :- Haan di... maine sorry bol diya tha. Aur unhone mujhe maaf bhi kar diya.
Nisha ne halki si smile di, phir kuch pal ke liye serious ho gayi.
Nisha :- Siyu... mujhe nahi pata tum dono ki bonding kaisi hai. Bas ek baat yaad rakhna...
Siya :- Kya?
Nisha :- Kuch bhi ho jaaye... kabhi uski aankhon mein aansu mat aane dena.
Siya thoda confuse ho gayi.
Siya :- Matlab?
Nisha ne dheere se saans li.
Nisha :- Usne life mein bahut kuch saha hai. Jo smile tum sab dekhte ho na... woh hamesha asli nahi hoti. Aur jo baatein woh karti hai... unmein uski zindagi ke saalon ka experience chhupa hai. Bas itna samajh lo... usse hurt mat karna.
Siya chup ho gayi.
Siya :- Kya hua tha Siya di ke saath?
Nisha ne turant nazar chura li.
Nisha :- Ye sab chhod. Bahut raat ho gayi hai. Ab so ja.
Siya :- Lekin diβ
Nisha :- (uski baat kaat kar) Maine bola na... no arguments.
Siya ne muh phula liya.
Siya :- Okay di. Good night.
Nisha :- Good night, baccha.
Siya blanket odh kar let gayi. Kuch hi der mein uski saansein dheemi aur regular ho gayi.
Nisha room mein dheere dheere chalne lagi.
"Kya bataun isse..." usne mann hi mann socha.
"Siya ne apna past sirf mujhe bataya hai. Main uska trust kaise tod sakti hoon?"
Uski nazar soti hui Siya par gayi.
"Meri doll abhi bahut chhoti hai... abhi nahi."
Ye sochte-sochte Nisha sofa par hi let gayi. Aur pata hi nahi chala kab uski aankh lag gayi.


Write a comment ...